Alwida Fatema (3)Haye Baad baba ke jo guzri wo Musibat sunloYa ali fatema zehra ki wasiyat sunloAaj rukhsat ho rhi hai Tumse zehra Ya Ali(3)Parda e shab mein meri mayyat uthana Ya AliAaj ruksat........1. Pasliya todi gai kaise ye batlaungi maiHashr ke maidaa'n mein bhi is haal mein aaungi maiHaath pehlu se na tum mera hatana Ya AliAaj rukhsat.....2. Wo musibat aap ne achcha hua dekhi nahiAb mai sidhe haath se tasbih padh sakti nahiAisa kunfuz ne hai mara taziyana Ya AliAaj rukhsat....3. Haye....Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra meraAapke rukhsaar par ye neel hai kaisa padaAreMaine khaya hai tamacha, Mat batana ya aliAaj ruksat.....4. Taziyane ki aziyyat ka uthana ek tarafWo tamache, qatle mohsin, dar jalana ek tarafSabse mushkil tha magar darbaar jana ya aliAaj ruksat.....5. Jab meri talqeen padhna yaad kar lena zaraDar ke girne se mera baazu bhi hai toota huaMere shano ko zara dhire hilana ya aliAaj ruksat.....6. Haye.....Chahe aajaye qayamat mujhse ye waada karoJab talak maula mere shabbir ki marzi na hoAreTab talak mera janaza mat uthana ya ali.....Aaj ruksat.....7. Jab se aayi hu palat kar fikr hai mujhko yehiMai to parde mein gai fir bhi zaeefa ho gayiBerida darbaar hai zainab ko jana ya ali....Aaj ruksat......8. Karbala mein jab mere mazloom par khanjar chalePyaas k aalam me wo ghazi ko jab aawaaz deMai bhi aaungi waha par tum bhi aana ya ali.....Aaj ruksat.....9. Haye...Haath pehlu pr rakhe boli takallum fatemaMai dua krti hu tum aamin keh dena zaraJald aaye mere Mahdi ka zamana ya ali.....Ya ali..............Aaj ruksat.......
Aaj rukhsat ho rahi hai tumse zahra ya ali
Mir Hasan Mir · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.