Jab aaye qabr mein dafnake Fatima (s.a) ko Ali (a.s)Kaha Husain (a.s) se aayengi ab na Ammaa kabhiTumhein pilaunga beta main aaj se paaniYeh pehli raat hai yaad aayegi bohat maa kiTumhari fikr mein hogi lahad mein maa bechainSubah se jaage ho so jao thodi der Husain (a.s)Badh ker Ali (a.s) ne gale jab lagayaYeh kehke Shabbir (a.s) ne sar uthayaAaj meri maa chali gayi - 4Baba mujhe yeh batayeinKyun chhod jaati hain maayeinSeene se apne laga karAb kaun dega duayeinNazron se jaata nahin maa ka chehraKaise mujhe neend aayegi BabaRota hoon jab se suna haiMaa ko tamacha laga haiAulaad ke saamne kyaMaa ko koi maarta hai?Yeh waqt Baba kisi par na aayeMaa apne bachon se chehra chhupayeDarwaza maa par gira karKehne laga ek sitamgarAaj itna Zahra (s.a) ko maaroUth na sake zindagi bharHansta raha maar kar taaziyaneAaya nahin maa ko koi bachaneBaazu hi jab toot jaayeKaise koi haath uthayeBete ko is haal mein maaSeene se kaise lagayePhir bhi mere naaz uthati thi AmmaaTakleef mein muskuraati thi AmmaaMaa mar gayi hai pata thaPar dil nahin maanta thaAur aap ne mere BabaJab ghusl unko diya thaYun cheekh kar aap roye the BabaUss waqt mujhko yaqeen aagaya thaHaaye main darbaar se gharAaya tha jab maa ko lekarRaste mein Ammaa ke paonKhat khainchhte the zameen parKaise qadam woh uthati thin BabaChalti thin phir baith jaati thin BabaMaara tha zaalim ne BabaJis haath par taaziyanaBhooloonga kaise main maa kaWoh haath mujh se chhupanaWoh neel meri nazar mein tab aayaMaa ne kafan khol kar jab bulayaJab door apne watan seMehroom hokar kafan seLaasha pada hoga meraLut jaayega sab badan seJaaoonga ek roz Karb-o-Bala meinLekin ghareeb aaj se ho gaya mainSeene se apne laga karUs dam bohat roye Haider (a.s)Haaye Raza aur ZeeshanJab bole Shabbir (a.s) rokarMaa mar gayi ab jeeunga main kaiseAe kaash mar jaata main un se pehle
Aaj meri maa chali gayi
Syed Raza Abbas Zaidi · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.